Khwaab ki ta'beer

Q: Mai ne ek khawab ki tabeer pochni ti apse. Mai ne khawab mai dekha ke ek pahari hoti hai, mere sath ek bacha bhi hota hai jo mai nahi janti kon hai, or kuch anjan log bhi hote hain jin mai se do larkiyun ko, mai kehti hon ke hum, mil ke is pahar peh jayenge toh shayd hum upar tak ja sake wayse toh mushkil hi hai. Phir mai us bache ka hath pakar ke upar charti hon. Boht upar nahi lakin half ya shyd is se bhi kam. Phir un do larkiyun mai se ek larki mujhe awaz deti hai ke woh dekho jaise salab araha ho. Or mai apne right side peh ja ke dekhti hon toh salab jaisa reli hoti hai lakin pora paani mitti se bhara hota hai. Woh saaf pani nahi hota or us pani ko dekh ke mujhe ghabrahat hoti hai or mai wapis neche utarne ka irada krti hon and mor jati hon. Phir mere ankh khul jati hai or us waqt bhi mai boht dari howi hoti hon. Raat ko hi kisi pahr dekha tha time ka, nahi pata. And mufti sahb asa ek khwab mai ne pehle b dekha tha pahar peh charne wala or peche se kala pani tezi se ata hai mai apne husband k sath bhag ke pahar peh charti hon. Is khwab ko taqreeban ek sal hone ko hai and mai ne pehle bhi apko bataya tha ke mai apne husband ke wajah se boht pareshan hon. Un ka rawaya mere sath thek nhi. Bara-e-mehrbani is khawab ki tabeer bata den and aagr kuch pharna ho toh woh bhi. Aap ki bari mehrbani hogi.

A: Khwaab ki ta'beer ye he ke aap ku chahia ke har waqt apne Deen ki hifaazat karne ki kowshish kare owr gunaaho se parhez kare. Paanch waqt ki naamz apne waqt par parhne ka ihtimaam kya kare owr tamaam na mahram mardo ke saat purda ka ihtimaam kya kare. Hamesha neak lowgo ki suhbat me rahe owr aysi jago par jaane se parhez kare jaha gunaah hota. Issy tarah jaha mardo owr awrato ka ikhtilaat hota he owr purda ka ihtimaam nahi hota he waha par jaane se parhez kare. Khwaab ke andar sailaab se muraad zamaane ke fitne owr fasaad.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada