Khwaab ki ta'beer

Q: Main kai dafa ap se khawab ki tabeer jan chuka hoon answer karne k liye boht boht shukriya, darasal muje taqreeban daily khawab aate hain is liye ap ko takleef deta hoon, kal subho ik khawab aya jo pehle boht martba dekh chuka hoon, darasal hamara ik plot tha jo hum ne sale kr dia huva hai aur us main hum ne phal dar pode lagaye huve the. Khawab ye hai ke main usi plot main un podo ko dekh raha hoon k un ki growth zyada nahi hai yani wo chote chote he hain aur ammi se b bolta hoon k in podo ko dekhiye k ye badhte he nahi aur utne k utne he hain aur kehta hoon k main nurcery se ache wale pode le kr aaoon ga k jo zyada phalne phoolne wale hon phir ap dekhna kitne ache lagte. Mufti sahib main ye khawab kai mrtba dekh chuka hoon aur jitni bar bhi main ne khawab mein un podo ko dekha wo waqai chote chote hain aur wo badhne wale hargiz nahi hain. Please is khawab ke baare main meri rahnumai kejiye. Allah aap ki ilam main izafa kare ameen.

A: A'maal ki taraf ishaarah he. Jitna insaan neak a'maal dunya me kare, utna behtareen baagh owr jannat us ku milega aakhirat me. Lihaza aap ku chhia ke zindagi ke tamaam  A'maal ku Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke mubaarak zindagi ke mutaabiq banae owr tamaam mushtabah owr haraam cheezo se parhez kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada