Khwaab ki ta'beer

Q: Mera question aap se khwaab ke mutaliq ha. Main ne aaj se do saal pehly aik khwaab dekha owr khwaab main main ne Allah Ta'ala ko dekha orr main ny un sy khawb main bat b ki. Sir kia Allah ko hum khawb main dekh skty ha? Ya phir ye koi shetan ki chaal ho ke wo khwaab main Allah ki shakal ikhtiar kary? Kis wakt ke khawb sachy hoty hain?

A: Khuda Ta`ala ki koi tajalli hoti he jo khwaab me nazar aata he. Albatta khwaab koi shar`ee hujjat nahi he. Koi nahi keh sakta he ke khwaab ke liye mere liye ye kaam fardh he ya haraam he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)