Wudhu ke liye paani ka intizaam karna

Q: Hum kal campfire ke lia thar (registaan) ja rahy he wahan pani nahi hoga to me namaz ka wuzu kesy karon ga tayammum karna pare ga? Owr sawal ye hai ke pakhana kharij kar ke maqad ki jaga ko kese saaf kya jaye ta ke namaaz aada ho sake owr hawa khaarij ho jae to kese paak hona hai? Barayemeherbaani tafseel me bataye. Sukriyah aur aaj hi bata dein qe kal hame jaana hai.

A: Jis tarah tum campfire ke liye gaari, khaana wa ghayra ka intizaam karte ho to paani ka intizaam bhi karte jaao.

Jis tarah gandagi ko saaf karte ho to is jagah paani ko saaf karo yahaa tak ke gandagi bilkul zaa'il ho jaye.

Hawa to napaak nahi he. Khaarij hone se mahaz wudhu karna zuroori he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)