Khwaab ki ta'beer

Q: Kal subah ayk khawab aya jo pehle boht martba dekh chuka hoon, darasal hamara ayk plot tha jo hum ne sale kar dia huva hai aur us main hum ne phal dar pode lagaye huve the. Khawab ye hai ke main usi plot main un podo ko dekh raha hoon ke un ki growth ziyada nahi hai. Yani wo chote chote he hain aur ammi se bhi bolta hoon ke in podo ko dekhiye ke ye badhte he nahi aur utne ke utne he hain aur kehta hoon ke main nursery se ache wale pode le kar aaoonga ke jo zyada phalne phoolne wale hon phir ap dekhna kitne ache lagte. Mufti sahib main ye khawab kai martba dekh chuka hoon aur jitni bar bhi main ne khawab mein un podo ko dekha wo waqai chote chote hain aur wo badhne wale hargiz nahi hain. Please is khawab ke bare main meri rahnumai kejiye. Allah aap ke ilam main izafa kare ameen.

A: A'maal ki taraf ishaarah he. Jitna insaan neak a'maal dunya me kare, utna behtareen baagh owr jannat us ku milega aakhirat me. Lihaza aap ku chhia ke zindagi ke tamaam  A'maal ku Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke mubaarak zindagi ke mutaabiq banae owr tamaam mushtabah owr haraam cheezo se parhez kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada