Showhar ki taraf se pareshaani

Q: Bohot pareshaan hu. Do chowti bachiya hain lekin mera husband muj se baat karna or meri tarf dekhna pasand nahi karta. Owr tarah se koshash ki hai lekin jab bhi baat karo us ka dill nahi chahta ke main baat karu ya us ke paas bethu sary ghar walu se theek baat karta hai hansta khelta hai lekin muj se baat karna pasand nahi krta maar ta bhi hai or galiya bhi deta hai. Please aap ko wazifa bata de. Meri help karyn bohat preshan hu.

A: Showhar ka ihtiraam owr khidmat har waqt kare owr un ke huqooq har waqt poora kare. Agar wo aap par naraaz hojae, to khaamosh rahe. Agar aap ku koi cheez karne ke lia kahe, to us ku poora kare bashart ye ke Shari'at ke khilaaf ne ho. Paanch waqt ke namaaz ke ba'd ye attached dua parhe owr un ke khaane peene ki cheezo ke upar يَا سُبُّوْحُ ، يَا قُدُّوْسُ ، يَا غَفُوْرُ ، يَا وَدُوْدُ parh kar dam karle. Allah Ta'ala us ke dil aap ki traraf naram karenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Attachments: 
AttachmentSize
PDF icon Dua for uniting the hearts.pdf44.14 KB