Khwaab ki ta'beer

Q: Main ne khawab main deha hai ke main ami aur meri sister Romania (iss country main ajj kal main ny aur meri sister ny doctor banany k liyae apply kia howa hia) gai hoei hain, wahan hum aik flat main rah rahi hain jo hamari university k sath hi hai.... main room main akali hun .. meray peechay black kaprun main churail hai... jab wo meray kareeb atii hia to main ayat ul kursi parhti hun to wo khatum ho jati hai..... phir hum teenu baray hall main chalii jatti hian wahan teen aurtaain bathi howi hain. Do ne black kapray pehnay howay hain aur aik ne white. White dress wali chaayae pii rahi hai. Us ne apni chahaye mujhe di hai ke tum pi loo aur ami ko kaha hai ke app ki barri batti iss ko bohat tang karti hai (yanni mujhe). Mufti saheb mujhe please khawab ki tabeer batain. Kuch months ke baad hum ne Romania jana hai study ke liyae.

A: Shari'at ka hukam awrato ke lia ye he ke wo apne gar me rahe owr zuroorat ke baghair gar se baahar ne nikle. University ka mahol ayk gande mahol he jaha gunaah owr fitne bohot hote he. Musalmaan awrat ke lia ye baais-e-fithna hota he us ke Deen ke lia owr us ke izzat owr akhlaaq ke lia. Agar muslmaan awrat mahfooz rehna chahti har qisam ke pareshaani se to us ku chahia ke neak mahol me owr neak suhbat me hamesha rahe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada