Khwaab ki ta'beer

Q: Mera sawaal apnay do daikhay gay khwabon kay mutalik ha.

1- Main ne khwaab main daikha ha kay main sajda kar raha hoon apnay khuda ko aik zeena ha us par lakin charhaee ki taraf mara rukh nahi ha balkay utraee ki taraf main Allah ko sajda kar raha hoon aur mara bhanja mujhay sahara day raha ha kay nichay ki taraf sajda karoon ga to gir na jaoon.

2- Main nay daikha kay koee shaks mara jannay wala machliyan pakar raha ha main nay daikha kay jo machliyan usnay pakree hain wo usnay alag pani main rakhi han wo teen machliyan hain do am chotay size ki aur aik alg see ha jo main nay us say lay lee ha phir daikhta hoon kay jo machli main nay lay lee ha wo aik bohat hi khoobsurat parinda ban gaee ha aur wo parinda maray hath pay baitha huwa ha main usko bohat pyar kar raha hoon aur wo bhi mujh say manoos hogaya ha aur mujhay pyaar bhi kar raha ha. Baray mehar bani mujhay khwab ki tabeer bata dain.

A:

1. Saree namaazo ku apne Saheeh waqt par Musjid ke andar Jamaat ke saat parhne ka ihtimaam karo.

2. Machlee se muraad halaal rowzi owr maal me barkat.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada