Khwaab ki ta'beer

Q: Mere abu hayat nahi hai. Unko paanch saal ho gai hain guzre huwe. Aaj mene unko khwaab me daikha subha ka waqt ke unka intiqal ho gya hai owr jab kafan pehna re hote hain to wo khud keh re hote hain bandh do. Ab kuch nahi ho sakta owr me jese unke qareeb jati he to halke se gsse m wo kehte hain k tm qareeb mt aao fr thore time m mje dikhta hai k mere papa hmare room m hain soye huwe hain or bht he ziyada kamzoor hain r aesa hota hai k m apne frend se pochti hn k mere papa ko guzre hwe kafi time ho gya hai lekn aj tk hm ne unko dafnaya ni hai wo khd kbi kbi bolne lgte hain r itne m mere papa gir jate hain m r meri ami unko uthate hain to wo pta n kya kehte hain r m unko kehti hn k hm ap k bazu hain na ab mje btaen es bt m koe ishara hai kya q k hmesha m daikhti hn k mere papa zinda hote hai owr fr hayat nahi rehte aksar daikhti hn plz muje bataen.

A: Qur'an Shareef ka kuch hissa parh kar ya kuch sadaqa dede owr us ka sawaab aap ke marhoom waalid ke lia bhejde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada