Talaaq

Talaaq ka lafz bowlna

Q: Mera sawal yeh hay ke agar shohar gussay ma aka apnay kissi aziz ko yeh kahta hay kah mare bivi ko keh do kah mainay usay takal de (yeh lafz sirf aik bar kehta hay) na kah direct apni bivi ko or phir do mah kah bad woh apni bivi say rojoo bhe karta hay to is ka baray ma Islam kia kahta hay?. Please tafseel say jwab degiay ga.

Showhar biwi ku "Tu azaad ho" kehna

Q: Manay ye pouchna hay ke agher koi admi apni ourat ko mazzak ma kah da ke jaa manay tuma azzad kia to kaya talak ho jati ha or agher wo dono phir be sath raha to phir ous ke koi saza ha ya nahi ha our ous na ousa mazzak ma 3 baar kah dia tha je tum azzad ho azzad ho azzad or agher talak ho jati hay to phir ousa khatm karna ka kya tarika hay jis say ous ke izzat be bach ghai badnam hona sa?

Teen talaaq

Q: Mere abba ne property ke wajha se meri ammi ko 3 gawah ke sath talaak diya hai wo bhi 35 year ke baad our gawah me mere abba ne apne do jawan shadi shuda bete ko our apne bhai ko rakhha hai our meri ammi 32 saal se mere abba ka intezar karrahi thi our wo mere abba se 32 saal se aalag rhe rahi thi unke samne tallakh nahi diya gaya hai our meri ammi ne mujhe bachpan se palpos ke bada kiya vo bhi akele to kiya meri ammi ka wakai talakh huva hai ya nahi our meri ammi apne sohar se kuch demand karsakti hai ya nahi? Please reply mai bohat pareshan hun our ek baat mere abba ne meri ammi ke baad 2 shadi our ki hai jis me se dusri wali ko bohat phele talakh de chuke thai par meri ammi ko abhi talaak di hai our un ki age abhi 58 hai.

Teen talaaq

Q: Mera question hain ke mere husband ne mujhe talaaq bolkar de diya hai but unhone ek hi time 3 baar bol diya but 3 month me nahi bola hain. To kya he talaq jayaz hai ya nahi? Talaq ke bad ek aurat ke kya haq hote hai? Mere 2 bache hai. Mujhe please detail me bataye.

Ghusse me teen talaaq dena

Q: Main apni biwi ke Sath car Main tha hamari karei hoi or Main Bohat guse Main us ku 3bar talaq de die Kiun ki wo lari Main Bar Bar car ke stering ku Edhar udher Karne lag gai Main na Kabhi us ku Yah us na Mujh Chorne ka socha Bhi nahin Hai hamari then bache Hain. Lakin Allah gawah Hai na tu mare dil na ya baat kehna the or na hi demag na ki Main us ku Yah lafz boloon Kiun ki Main Yah Chahta he nahin hoon ki wo Mujh se Yah Main us alahda ho jaoon Main or wo eik dosre se Bohat ziada piyar Kartain Hain Haan hamari lari hoti Hai Lakin Sirf chand minut ki us ki baat ham Bhol jatain. Main na Bohat Logon se pocha kisi na kaha nahin Sirf eik talaq Hai kisi na kaha ki teen ho Hain ab khatam Allah janta hai ki Mujh ku us waqt Kuch kaber nahin thi ki Main Kia Kar raha hoon Main Quran Bhi tarjama Parha Hai kahin Yah nahin Likha ki teen talaq eik waqt Main hoti Hai. Please mari rehnomai karain Eik baat tu Hai ki Main apni Weif ku nahin choron ga or na wo mujhe bahly Mujh ku Biwi ka Relation bana bina do insano ki Tarha rehna pare ham Wase he rain ge or Allah ki nafermani. Insha Allah nahin hogi is Main Mujh ku koi shak nahin. Please mari rehnomai karain.

Nikaah ke ba'd showhar biwi se door rehna

Q: Mufti sahib mera question ye ha ke ager nikah ke bad rukhsati na ho aur husband door rahy wife sy kabi milny be nahi aye aur koi rabta bi na ho na he jama ka mamla to kya 2 saal sy zeada guzar jany ke bad nikah toot jata ha? Asa mene suna ha ager toot jata ha to time ki amount kya ha ager nahi toota to kya ye shariyat ke khilaf ha? Ye nikah larki ki marzi ke khilaf howa tha is liye wo rukhsati nahi chahti na he koi rabta. Barae mehar bani jawab irshad farma dijiye.

Talaaq ka masla

Q: 5th ramdhaan ko mere walidain ne mujhe se zabrdasti talak dilwae the, Waja ye he ke mere susral or mere ghar walo ki apus me nahi banti, is leye Mujhe se ye talak dilwae jub ke mene bhi ek talak ka word bol ke wife ko wapus Bhej dia apne walden k ghar, mgr 2nd day of eid ko me wife se eid mill ke aya or sath me hum ne khana bhe khaya or sawal ek to ye he k kia mera rojoo Hogaya? Or 4rth day of eid (1st august 2014) ko phr se mere walden ne mujhe phr se force karne lage he k talak dedo or hum is larki ko is ghar (father House) me nahi rakhe ge. Jub ke mene kha ke me apni wife or ek beti he 2 sal ki Wo le k alg ja k rehta ho to mere walden n kha k hum ap ki transfer krwa dege Or tum ko is larki ke sath sukoon se nhe bethne dege or kal sundy ko ye talak Ka kam krwane wale he. Mujhe differnt different torcher ot mently tension de Rhe he. Mujhe marte he, divorce do. Is pe koi sharai had jari kro ya koi Mashwara do me kia kro.

Talaaq ka maslah

Q: Main ne aik maheena pehle larai main apne shohar se kaha ke ab agar aap ne muje phir begum kaha to ye mary lie talaq ke brabar ho ga. To unho ne hanste huwe kaha ke begum begum begum. To is ke bare main kia hukam hai? Kion ke niyyat dono ki talaq ki nahe thi.

Talaaq ku muallaq karna

Q: If a person says ke agar mai falan kaam krun tou mujh pe meri biwi teen shart talaq aur ye words wo three times repeat kary. Very next day us ki wife usy usi kaam ke liey suggest kary aur sath mai kehy ke ap ko masly ka ziada behtr pta hai. Agr husbnd wo kaam kr de jis par shart rkhi thi tou kia talaq ho jaey gi?