Shohar ka kehna "tum meri taraf se faarigh ho"
Q: Jhagra huwa aur us k baad shohar ne mujhe kaha ke aaj se tum meri taraf se faarigh ho... Is se talaq waaqi hui ya nahin? Agar haa to ruju ka tareeqa kia hai?
Q: Jhagra huwa aur us k baad shohar ne mujhe kaha ke aaj se tum meri taraf se faarigh ho... Is se talaq waaqi hui ya nahin? Agar haa to ruju ka tareeqa kia hai?
Q: Mera abhi sirf nikaah hua hai aur rukhsati nahi huwe lekin us ke bawujood aik din ghusse me, lekin talaq ki niyyat se nahi, mere husband ne mujhe message par likh kar bheja ke tum mujh pr haram ho aj se. Lekin unho ne aisi kisi baat ka ilm nahi tha ke is se talaaq par sakti hai aur tab me halat e haiz me thi.
Us ke bad me ne unko bataya ke apne ye kia keh dia mujhe to phir youtube se is bare me Ulama Kiram ke bayanat sunne hum dono ne to wahan yahe tha ke talaq e bain par sakti hai lekin halat e haiz me talaq nahi ho skti... to mujhe yahe pochna hai ke kia halat e haiz me hone ki wajah se talaq e bain par sakti hai ya nahi?
Us ke bad phir bhi tajdeed e nikah ka tareqa bataya huwa tha unho ne ke koi gathering na ho aur na hi koi kalimat parhe bas khawind ka aik gawah ho aur biwi ke 2 gawah ho aur aik bar bhi wo poch le ke aapko wo mard apne nikaah me qabol hai to dono aik bar qabool hai keh dain to nikah phir se ho jata hai...
To next day hi mere husband mere ghar aaye, cousin hain wo meri, aur unho ne mere bhai ko apna gawah banaya aur meri aik aur cousin aur meri behen meri gawah bani to mere bhai ne mera aur unka name le kar haq meher ke iwaz bola ke kia tum dono ko qabool hai to hum ne bola ke hume qabool hai... To mujhe bataye please ke me unke nikah me hu? Kiyun ke na wo mujhe chor sakte hai aur na hi me un ko chor sakti hu.
Q: Kisi bande ne apni biwi ko jhoot ya mazaq me keh diya ke teri maa se me ne ghalat kuch kiya he ab yaha usne sach me nahi kiya ta jhota iqrar usne kiya ab uske liye kiya hukam he? Agar uski biwi ko pata he ke jhot bol raha he tu kiya hukam he aur ya uski biwi ne yaqeen kar liya tu kiya hukam he? Wo mufti ke paas jayenge aur waha qasam utaenge ke jhot bola he?
Q:
1. Kisi se apni biwi ko talaq ke bare me discuss kiya ho aur ye kaha ho ke me ne faisla kar liya he tu kiya aise talaq ho jati he?
2. Aur biwi ko ye kaha ho ke tum permanently meke me shift ho jau, jab ke use koi alfaz nahi kahe to kia talaq howi?
Q: Agar aik hi lafz me aik hi zuban ke baare me mukhtalif raai ho, koi kehta he ke sareeh he koi kehta he ke kinaya he, tu kis ki baat manni chahiye? Is situation me narmi he ke banda kinaya manai agar mukhtalif raai ho aik hi zuban me?
Q: Agar husband kahe ke agar darwaaze se baahir nikli to meri taraf se talaaq he, aur biwi nahi niklay us waqat aur baad me dono ki sulah hojaye to kya aurat darwaze say phir nikal sakti hay? Is say talaaq to nahi hogi?
Q: Mery miya out of country hote he. Unho ne gusse me mujhe do bar talaaq keh diya he talaaq talaaq. To kya hamari talaaq ho gayi he aur ab wo maafi maang rahe he aur raju karna chahta he to kaise ho sakta he?
Q: Agar biwi ko pata na ho ke us say talaq dee gayi he aur shohar biwi se chup ke us say talaq de to kiya talaq ho jati he?
Q: Aurat kharab ho to mard usse talaq daitta he? Mard sare haram kam yani sood ka paisa, aurato se baat karna, zakat na dena, jaise kaam karta ho aur biwi ka kaha na manta ho tu auratt ku kia karna chahiye?
Q: Kiya Islam me aisa koi law he ke me divorce ke haq se totally relinguish ho jaun aur ye haq apni wife ko de du. Yani divorce ka haq mere pas na rahe balke mere biwi ko mil jaye. Kyun ke me bohot ziada whispers se suffer kar raha hu jiski waja se extreme depression me chala gaya hu.