Humbistari ke ba'd qataraat nikalna

Q: Muje ek pareshaani he humbistari karne ke baad jab ghusal karta hu to doraane ghusal ager qatra nikal jae to dobara ghusal karna hoga? Baraaye meherbaani koi wafeeza bataen jisse peshaab ke qatre band ho jaen aur humbistari ke baad sharamgaah saaf kerta hu to phir bhi kafi der tak geela hota he. To dorane geelapan tapakte huwe ghusul kiya ja sakta he?

A: Agar peshaab ka qatrah nikal aaye to ghusal duhraane ki dharoorat nahi, albatta ghusal ke ba`d agar qatrah nikal aaye to wudhu ko duhraaye.

Peshaab se faarigh hone ke ba`d, sharamgaah ke oopar kuch tissue rakhlo. Jab itminaan ho ke ab qatraat sab nikal chuke to us tissue ko nikaal karke phenkde aur phir wudhu karle.

Aasaan tarkeeb ye he ke jimaa ke ba`d ya to peshaab karo ya thori der ke liye so jaao ya kam se kam chalees qadam chalo; Iske ba`d agar kuch qatraat aaye ho to geelapan ko dho karke wudhu karlo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)