Bool se asar ki namaaz beghair ghusal se parhna

Q: Me soyi huwi thi to mujhe jinsi khwaab aya meri aankh khul gayi lekin mein ne geelapan mahsoos nahi kya aur dobaara so gayi jab dobaara meri aankh khuli to me ne geelapan mahsoos kya mujhe khwaab yad nahi tha me is geelepan ko mamool ka discharge sumjhi kyoonke me safed dischaarj ki mareez hu to me ne is ko mamool ka discharge sumjate huwe asr ki namaaz ada kar li lekin jase hi me namaaz se faarig huwi mujhe khwaab yad aa gaya baqi ki namaze mein ne ghusal ker ke ada ki. Mujhe bataye jo me ne baghair ghusal namaaz adaa ki us se mujhe gunaah to nahi ho ga aur us ka asar mere Imaan aur nikaah par to nahi ho ga aur us ka kuffaara kya he?

A: Choonke bool se huwi, to maaf he. Lekin ghusal ke ba'd apni Asr ki namaaz ku duhraaw.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)