Mazi nikalne se kya ghusal waajib hota he?

Q: Me ye poochna chahti hun ke jab main kacchi neend me hoti hun to mujhe jinsi manzar dikhne lagte he lekin mujhe us waqt itna hosh hota he ke mujhe mani khaarij nahi huwi he aur na hi makhsoos jaga me ihsaas, dill ki dharkan bhi tez nahi hoti to kya ye ihtilaam hoga jabke me uss waqt poori tarah soyi nahi hoti lekin thori mazi khaarij hoti he. To kya mujhe ghusal karna hoga?

A: Agar koi cheez nahi nikli, to ghusal waajib nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)