Peshap ke ba'd mani ke qatre nikalne se kiya ghusal waajib hota he?

Q: Peshab ke bad mani ke qatre nikalte hai kiya ghusal wajib hai? Aur is halat me wudhu kar ke namaz padh sakte hai? Aur is halat me sawere shaam ke azkar kar sakte hai kya? Aur azkar kar ke dum kar sakt hai kya?

A: Agar peshaap ke dauraan ya peshaap ke bad bila shahwat mani nikli to aap na paak nahi howe aur ghusal aap ke opar waajib nahi howa. Aap wudu kar ke namaaz parsakte aur azkaar parh kar dam bhi kar sakte.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)