Aurat ku naaqisatul aqal ka matlab

Q: Islam me aurat ku naaqisatul aqal wad din kaha gaya hai lekin aaj science aur technology se hame ye maloom hui ki aadmi ka dimaag aurat se 10% bada hai, lekin aurat ka dimaag hi achhi tarah se kaam karta hai, wo cheze ziyada der tak yaad rakh sakti hai, aur unka dimaag mard ke muqable tez hai. Aur Islam aur ulama ne toh iska ulta kaha hai, wo kehte hai aurat me aqal, mard ke muqable kam hai. Hame saheeh baat bataye. Ham bohot confuse ho rahe hai, aur imaan kamzoor bhi ho raha hai. 

A: Science ki tahqeeqaat taqreeban har saal badalta rehta he. Aaj kuch kaha aur kal baat ko pher diya.

Doosri baat ye he ke aql ke mukhtalif hisse hote he. Eik hissah he kisee cheez ko yaad rakhna, eik hissah he sochna, aur eik hissah har cheez ko samajh karke uska saheeh istimaal karna. To mumkin he ke kisee cheez ko yaad rakhne me kisee aurat ka zehn ziyaadah tez he lekin matlab ye nahi ke aql behtar he balke yaad daasht tez he albatta saheeh jagah har cheez ka istimaal karna usme kisee ka ikhtilaaf nahi ke mard usme bohot ziyaadah aage he. Isee wajah se aham umoor, masalan lashkaro ka chalna chalaana, bare bare bewopaar ko chalaana aur hukoomat ke aham aham kaarwaaye aksar wa beshtar mard hee usko nibaah kar sakta he.

Aapko science se mar`oob nahi hona chaahiye na ihsaas-e-kamtari me mubtala hona chaahiye. Har cheez ko bila ta`assub aur gehri nigaah se dekhne se saheeh nateejah par pohonchta he lekin agar kisee cheez adhoori dekhe ya science ke baate se unki andhi taqleed ki to phir sharmindagi laazim hogi. Science ne aysa kaha tha ke zameen hamwaar aur flat he lekin aaj unka ittifaaq he ke gol he. Ab kya kahenge?

Phir ye science ki baate aksar kaafir ya dahri bataate he jinke andar aakhirat ka dhiyaan aur Allah Ta`ala ka khowf nahi he aur woh kisee ka mulaazim he aur woh apne aqaao ki baat sunaayenge. To haqeeqat ye he ke ghulaami karte he aqaao ki aur apne aqaao ki baat ko saheeh banaane aur manwaane ki koshish karte he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: