Ghusal karne ka Sunnat tareeqa

Q: Mera sawaal ye he ke ghusal kab faraz hota he or ghusal karny ka sunnat tariqa kya he? Agar shehwat ki waja se jo paani jaisa liquid ata he jisse me samajhtaa hu manni nahi kehte us se bhi faraz hota ha ya nahi owr pehle jaisa sawaal ke agar aurat ka paani aisy baahar aye to usse ghusal karna chahiye ke nahi. Meri biwi kabhi kabhi ye sawaal poochti he is liye ke jab hum sirf piyaar ki baate karte he to hum downo mahsoos karte he ke thowra paani nikla. Kya hamain ghusal karna chahiye?

A: 1. Ghusal karne ka tareeqa ye he ke aadmi pehle sharam gaah ku dowle yaha tak ke sab naapaaki nikal jae. Us ke ba'd wudu kare owr sar owr poora badan paani se teen dafa dowle. Pehle sar par paani bahai teen dafa', us ke ba'd badan ke dai taraf owr phir badan ke bai taraf (naak me paani daalne owr qulli karne ke saat). 

2. Shuroo me jo nikalta he usko kehte he mazi. Mazi dheere dheere se aata he aur us se ghusl fardh nahi hota. Mani kuch quwwat se nikalta he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)