Urdu Questions

Hadith ke mutaalliq sawaal

Q: Ayk Hadith batayi gayi hai ke “Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne farmaya ke jo ramzan mahine ki aane ki khush khabari pehle kisi ko de to us par jahannam ki aag haram hai”Yeh hadith sahi hai ya nahi aur agar hai to hawala pesh karne ki zahmat karen.

Wudhu ke liye paani ka intizaam karna

Q: Hum kal campfire ke lia thar (registaan) ja rahy he wahan pani nahi hoga to me namaz ka wuzu kesy karon ga tayammum karna pare ga? Owr sawal ye hai ke pakhana kharij kar ke maqad ki jaga ko kese saaf kya jaye ta ke namaaz aada ho sake owr hawa khaarij ho jae to kese paak hona hai? Barayemeherbaani tafseel me bataye. Sukriyah aur aaj hi bata dein qe kal hame jaana hai.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mera question aap se khwaab ke mutaliq ha. Main ne aaj se do saal pehly aik khwaab dekha owr khwaab main main ne Allah Ta'ala ko dekha orr main ny un sy khawb main bat b ki. Sir kia Allah ko hum khawb main dekh skty ha? Ya phir ye koi shetan ki chaal ho ke wo khwaab main Allah ki shakal ikhtiar kary? Kis wakt ke khawb sachy hoty hain?

Khwaab ki ta'beer

Q: Meri sister ke liye ek rishta aya hai, aur usne uske bare me istikhara kya tha, to use khwab me nazar aya ke wo ladka jisse shadi hona hai (yani jiska rishta aya hai) wo uske paas khada hai safed libaas me aur jab tak wo uske pas khada hai jab tak wo chup hai lekin phir kuch der bad wo ladka chala jata hai aur jab wo chala jata hai to wo (meri sister) roti hai Bohot use jata dekh kar.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mene khwaab me deka ke me kahi ja rahi huthi hu. Phir deka ke Dubai main ak masjid hy jo ke unky kuch cheze gold ki bani huthi hy or mujy ezath se andar ane ko kehty hain. Mujy os masjid ke kuch room dekaty he achank buht se nimazi ajaty hy mera step chachu ajata hy or muj pe chadar dalthy hy ke mjy nimazi na deky. Phir us masjid ka envirnmnt change hujata he shadi ka sama huta hy jo ke sab log bety huthe hain. Sab ko gifts milthy hy meri behn usy necklac miltha hy or mujy chocolates. Phir last me deka ke me ak shandar room me beti hu us gifts k sath. Mere sath necklac ke set raky huthy hain jo bouht shining karty hain.

Khwaab ki ta'beer

Q: Meri pupi ki baho thi khatija abi kuch din pehla uska divorce hua hai or kal raat mene usy khuwaab me dekha ke uska adha hissa bohot buri tarah jala hua hai. Iska kia matlab ho skta hai?

Khwaab ki ta'beer

Q: Mujeh aksar khwaab me nazar aata hai ke mei bathroom mei qazaye hajat ke liye jati hoon but wahan har jaga gandagi hi gandgi hai. Kabhi kabhi mei dekhti hoon ke mei ussi gandgi ke ooper qazaye hajat se farigh ho jati hoon, aur kabhi waisey hi bahar aa jati hoon.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mene khwaab dekha ke aek bewaah aurat ae mere pass or mujhse pucha ke ye kapra mene lia hai black or brown color ka ye teak hai ya nae to mne kha nae ye tmhre lye teak nae hai tm pe acha nae lagega to mjh kaha ye mne ksi or k liye lia hai usy dngi to mne kha teak hai ic khuwaab ka kia mtlb hua?

Halaala

Q: Mera sawaal ye hai ke talaq yafta aurat aur jis ne talaq di wo dono kisi teesrey ko nahi batatey ke teen talaq de di hain. Wo aurat shahor ke ghar hi reh rahi hai kisi ko kuch pta nahi. Shwhar ghr nahi jata bht kam jata hai. Abi wo aurat iddat me hai aur aurat ke maan baap mjbur krtey hain ke hmarey ghr ao rehney kuch dino ke liye to kya wo aurat apney maan baap ke ghr kuch din guzar ke aa skti hai? Aur ye dono halala ke liye bhi razi hain. Halaala ka sahi tariqa kya hai? Please hum bht pareshan hain. Hamari rehnumai farmayn.