Urdu Questions

Ma'zoor

Q: Meri pareshaani ye he ke mera wudhu baar baar toot jata he. Kabhi aysa bhi hota he ke me wudhu kar rahi hoti hon or toot jata he. Me ne parha tha ke agar aysa masla ho tu ayk baar wudhu kar ke namaz parh le. Meri aadat he sobah fajar ke baad me quran parhti hon or ishraq parhti hon. Agr me ne fajar se pehlay wudhu kia or fajar ki namaaz parhi or os hu wudhu se quran bhi parh liya or ishraq bhi tu kiya ye theek he ya mujhay teeno ibadaton ke liye alag alag wudhu krna chahiye?

Qur'aan shareef ki mukhtalif qiraat

Q: Quran ke mutalliq ek sawaal hai, agar hal mil sake to baraye meharbani hogi.

Quran mein saat manzile hain, maine kahin padha tha ab yaad nahin hai ke "Jaise Jaise Quraan ko aage padhte jaate hain, to manzil dar manzil quraan lehze mein asan hota jaata hai". Aur maine ye bhi padha tha ke Aap Nabi saw ke zamane mein jab quran utarna shuru huva to lehze mein kaafi muskil thi, aur phir shuru ke imaan mein shamil hone waale musalman bhi padhe likhe nahin the, to aap Nabi saw ne allah se dua ki ke "Allah quran ko asaan kar de" to manzil dar manzil quran ki Suraten aur aayeten chooti hoti gayi aur Allah taala ne Sura Qamar mein iske mutalliq aayat no. 17,22,32,40 mein farmaya ke humne quran ko asaan kar diya. Kya ye baat sahi hai? Agar sahi hai to iski tasdeeq kahan se ki jaa sakti hai? Agar sahi hai to iska hawala kis kitab se diya ja sakta hai?

Majburi ki wajah se nowkri karna

Q: Mai nowkri karti hu kisi mjburi ki wajh se. Mai aap se ek bat jaan ni hai mai ye cahti hu meri shahdi acchi family ho jaye mai job karna nahi cahti cahti lekin haalat hi kuch ese hai jis ki wajh se job karni pad rahi hai aap mujhe koi esa wazifa bata dijiye jis se meri shahdi jald se jald ho jaye aur mai parde se beth jao jo ladki bahar job karti hai use duniya wale galat nazar se dekhte hai. Aap se request hai ap mujhe koi wazifa bata dijiye.