Urdu Questions

Taqdeer

Q: Humara iman hai k har acha or bura kaam Allah ki taraf se hota hai. To kiya mufti saheb humari koishih se humari taqdeer badal sakti hai? Jaise ke meri shadi jis bande se hone wali ho or mujhe shaadi se pehle dekhna chahta ho. Mai mulaqat lr,lon or usko,mai,pasand na ajaon lakin us shaks k sath meri taqdeer jhori howi hai toh kiya mujhe na pasand karne k bawajod meri shadi us se hogi ya phir, meri mulaqat krne se us bande ki ya meri taqdeer badal sakti hai. Plzzzz mujhe is bat ki samj nhi ati... Agr koi humari taqdeer mai lekha gaya hai toh kiya us se shadi hogi ya mahaz ek step utane se taqdeer badal jaye gi.

Fajr ka waqt

Q: Fajr ka waqt ka kis tarah se pata lagaya jata he? Kab shuru huwa he aur kab khatam? Ayk aam banda Aasman ki taraf dekh kar kis tarah andaza laga sakta he ke fajr ka waqt abi baaqi he?

Khwaab ki ta'beer

Q: Mere liye ek rishta aya tha aur woh log mujhe dekhne bhi aaye the. Ghar me sab ko pasand aye. Phir maine jab istikhara kiya tab khwaab me mujhe dikha ke woh ladke ka chehra beronak hai aur woh andhere me hai aur phir dusra khwab aaya usme woh ladke ne mere nana ko gusse me get lost kaha aur mai hairan thi. Mujhe iska matlab janna hai?