Daant peesna
Q: Mera beta teen saal ka hai aur wo raat ko daant bahut peesta hai to uske kya problem hai? Please aap help karo.
Q: Mera beta teen saal ka hai aur wo raat ko daant bahut peesta hai to uske kya problem hai? Please aap help karo.
Q: I am Sunni. Me ayk larki se shaadi karna chahta hun. Wo log bohot ache hain. Phir wo log shia hain. Kya shia larki se shaadi karna jaez hay? Kya shia aur sunni ke darmyaan shadi hosakti hay? Kya shia ko sunni bana kar shadi kya ja sakta hay ya is ke elawa aur koi tareeqa hay? Tafseel me bataen?
Q: Meri mother ko peshab wali jaga pe jalan hoti ti bohot puraana masla he. Ammi ne bohot se doctors ko dikhaya lekin kese ko problem samj nahi aae owr ne he koi ilaj kar saka. Hamary aik janny waly peer hen unhone aik taweez dia owr kaha ke is ke pani se istanja karna he har dafa jab bhi hajat ho. Aur unhne 80% aram he jalan ka. Ab sawal ye he ke kia pani use kar sakty he? Aysa karne se gunah to nahi ho ga? Hamen nahi pata unhn ne taweez pe kia likha hota he. Samaj nahi ata.
Q: Mai black magic ki victim hu. Ayk aamil ne wazifa dia hai sunnay ke lye wo ya hai "Ajib ya israfeel behaqe ya alif ya allah". Is me shirk ka pehlo to nahi aata?
Q: Muje aap se poochna tha ke wudhu kartey waqt kya tap (nul) ke khuley pani ke neechey paaon rakh deney se wudhu ho jay ga ya laazmi pairon ko haath se dhona bhi maqsood he?
Q: Ayk awrat ka kisi mard ke sath na jaiz taaluq tha. Us awrat ne apni khushi ki khatir us mard se apni beti ki shadi kar di. Shaadi hone ke bad bhi un ka na jaiz taulqaat qaim rahy. Matlb wo apni biwi se bhi humbistri karta or apni mother in law se bi krta rha. Jab ke biwi ayk room main hoti or wo dowsre room main apni mother in law se humbistri karne ke bad apni biwi ke pas ajata or batata ke mujh maza nahi aya, ab aap mujhe karne do or wo bechari majbor ho kar us se humbistri karti. Islam main is ki saza kia hai or kia biwi ka us ke sath rehna jaiz hai? Or ab us ki mother in law fout ho gai hai. Kya wo apni biwi se maafi maang kar us ke sath reh sakta hai?
Q: Mujhe pata karna hai ke islam aesi aurat ki kya jaga hai jisko 25 saal ki hone tak bhi kabhi haiz nahi hua? Kya Allah us larki se naraaz hai? Hadith ki rowshni jawab dijiye.
Q: I have heared that ood ki lakdi jannt ki lakdi hai. Kisi wajah se ise jannat se bahr kar diya gaya tha. Isi lia is mein itni khusboo hoti hain. Is that true?
Q: Humara iman hai k har acha or bura kaam Allah ki taraf se hota hai. To kiya mufti saheb humari koishih se humari taqdeer badal sakti hai? Jaise ke meri shadi jis bande se hone wali ho or mujhe shaadi se pehle dekhna chahta ho. Mai mulaqat lr,lon or usko,mai,pasand na ajaon lakin us shaks k sath meri taqdeer jhori howi hai toh kiya mujhe na pasand karne k bawajod meri shadi us se hogi ya phir, meri mulaqat krne se us bande ki ya meri taqdeer badal sakti hai. Plzzzz mujhe is bat ki samj nhi ati... Agr koi humari taqdeer mai lekha gaya hai toh kiya us se shadi hogi ya mahaz ek step utane se taqdeer badal jaye gi.
Q: Fajr ka waqt ka kis tarah se pata lagaya jata he? Kab shuru huwa he aur kab khatam? Ayk aam banda Aasman ki taraf dekh kar kis tarah andaza laga sakta he ke fajr ka waqt abi baaqi he?