Me ne tum ku azaad kardiya
Q: Mera masla ye hea ke mari ek cousin hea jis ki shaadi ko taqreban 18 saal ho gaye hain shoro ke 5 ya 6 saal to bohat khusi se guzar gaye leken us ke baad sohar or biwi me doriya bharti gai es sare arse me sohar ne biwi ko la taadad baar ye kaha hea ke (me ne tum ko talaaq de deni hea or mari tarf se tum farigh ho or mari tarf se tum azaad ho ya ye khena ke me ne tum ko azaad keya or ye baat sohar ne gawhoun ki mojodgi me bola he wo bhi kai baar. ab halaat ye hain ke dono sohar or bivi last 3 years or 2 month se alag alag re rahe hain or es arse me un ka koi jismani taaluq bhi nahi raha. Jab ke biwi har hafte apne bacho se milne apne sohar ke gahar jaati hea. Aap se ye maloom karna hea ke kya en me en dono wajohaat ki waja se talaaq waaqe hoi hea ya nahi. Ab mojodha sortehaal ye hea ke ye cousin apne sohar se talaaq chaati hea or apni new zindagi shoro karna chaati hea jis ke lye us ne adalat jane ka faisala kar lyea hea aap agar quran or hadees ki roshni me ye bata de ke kya un dono me talaaq ho gai hea ya nahi?