Beauty parlour

Q: Ladies beauty parlour chalane ke liye non muslim lady ko dena jaiz he? Aur uski jo income aaye vo istemal kar sakte he? Kya ye rent income halal hogi?

A: Beauty parlour ki kharaabiyo ki wajah se hamaari raai ye he ke beauty parlour ko rakhna hee nahi chaahiye. Is qadar be-hayaayi ki baate uske muta`alliq sunaayi jaati he ke baa izzat shareef musalmaan ke liye ye bilkul naa zeba he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)