Khwaab ki ta'beer

Q: Parsu mere sister ne khwaab dekha jisme ayk bari mazhar (roza) tha our udar ke zimedar mere sister ko nath or salam padne ko bulare the jab mere sister ne nat or salam padha to sare jhoom ne lage josh me aye the uske bad mere sister ne dekha ke us mazhar ke bilkul age 1 hindu logo ka mazhar tha our mere sister ne sab ko bol rahe the ke dekho wo kabe ke taraf pair karke soya hai. Please is ki talim boliye.

A: Aap apne behen se kahe ke agar wo Allah Ta'ala ki raza aur khushnoodi chaahti hei, to us ku chaahiye ke apni zindagi ku huzoor (sallallahu Alaihi Wasallam) ki mubaarak zindagi ke mutaabiq banaaye. Panch waqt ki namaaz ku paabandi se apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare. Aank, zabaan, kaan aur dil ki hifaazat kare tamaam ghunaaho se aur purda ka ihtimaam kya kare tamaam na mahram larko se. Agar wo neak raaste ki oopar chale gi, to Allah Ta'ala us ku qubool karenge owr hamesha khush rakhenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada