Q: Kuch dino pehle karib subah ke paanch baje mene ayk khwaab dekha. Me or meri bari bahan or fufi ka beta or ik mohhale ki aurat he ham charo ayk ese kuwee ki pal par beth kar pani khich rahe he jaha ik or khai ho or ik or pani ka jharana bah raha ho or ham bich m kuwe ki pal par beth kr pani khicch rhe he. Ayk baalti pani bharane ke bad ham vha se nikalte he. Ayk ke nikalane bad jo hamare mohhale ki aurat he wo rassi madad se nikalti he lekin achanak rassi unke hath se chhut jati he aur wo kuwwe ke pani me dubane lagti he. Me unhe dekh to leti hu dubate huye par me ye bat us time meri badi bahan or fufi ke bete nhi btati hu kyuki us vakt mujhe khayal aata he ki agar me inhe ye baat bata dugi to ho sakta he ye bi dar jaye or or bachane ki bajaye ye log kuwe me gir na jaye pahle ham yha se nikalte he fir unhe bachate he. Phir meri aakh khul jati he or us time subah ki 5 baji thi 30 mint ke bad fazar ki azan hui. Please mujhe mere khwab ki tabir bataye khwab me pani me dubate huye dekhna kis or eshara he?
A: Paanch waqt ki namaaz apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kya kare owr purda ka ihtimaam kya kare tamaam na mahram mardo owr larko ke saat owr tamaam mushtabah cheezo se parhez kare (masalan cellphone, internet, TV, buri suhbat, novels, waghairah).
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: