Q: 1) Zina kaar ki kya saza hai? 2) Ek example ke sath ap sy sawal pochna hai do banday hain ek ne kabi zinna nae kiya and ek ny zinna kiya hai agar zinna karnay wala mafi mang lay tou kya wo oski haseeyat aam insan jaisa ho jaye ga. 3) Agar ek banda 3 4 larkiyon sy zinna karay ga tou oska kya hoga kyn k quran mn hai k zinna qarz hai ye maa behan beti bv sy he nikalta hai. 4) dwa qabool karwanay k leye koi achi sy quran ayat bataye jis sy dwa jaldi qabool ho. 5) dwa batain jis sy hamray mulk sy ye zinna ka gand khatam ho jaye.
A:
1. Ayse aadmi ko Jahannum me rehna parega aur Jahannamiyo ki gandagi aur peep wa-ghayra aysa aadmi ko pilaaya jaata he.
2. Jee haa, agar maafi bohot behtar tareeqah se maange aur woh uspar pukhta he to us ka bohot buland martabah aur maqaam hojaayega.
3. Iski taraf dhiyaan ne do. Albatta iski koshish karo ke apne aapko us se sakhti ke saath bachaaye. Aankho ke zina se aur haatho ke zina se aur kaano ke zina se apne aapko bachaao.
4. Durood shareef parho du`aa ke shuroo me aur khatam karne ke ba`d.
5. Apne aapko bachaao aur jahaa tak ho sake doosro ko bhi bachaao.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: