Q: mere papers chal rahe hain wahan jis class main paper hote hain uss school wale naqal kerne ki ijazat dete hain. Mager jo board paper nickalti hai uun ki taraf se naqal kerne manah hai or uun board walon ke officers chapa marne bhi aate hain exaim hall main phir jo naqal main pakra jata hai usko copy case kerdete hain. ab aap batayen main naqal kersakta hun q ke taqreebab puri class naqal kerti hai or wahan tou riwaj hai naqal ka board walon ko bhi pata hai naqal chalti hai iss liyeh tou woh school visit kerne aate hain ke dekhen kon naqal kerta hai. tou main ager naqal kerun ga tou mujhe gunnah mile ga? Ahadees, Qur'an paak ki roshni main jawab dain. please main pereshan hun iss masle pe q ke mujhe papers yaad bhi nahin itne ager main naqal nahin kerun ga tou mera paper bohoot bura hosakta hai or shayad main fail bhi aa sakta hun tou kya kerun main?
A: Aap aisa ne kare kyunke ye dhowka hai. Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne farmaya: "Jo shaks hum logo ku dhowka de, wo hum me se nahi he."
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
عن أبي هريرة: أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: ومن غشنا فليس منا (مسلم #164)
Answered by:
Checked & Approved: