Q: Ek aurat umrah ki ihram ke niyyat se apne ghar (city A) se nikalte he haidh ki haalat me Makkah ko (city B) 30 Dec ko 200km ke fasle par. Doosre din 31 Dec Makkah (city B) me ghusul ke baad umrah ada krte he. Phir teesre din 1 Jan Jeddah (city C) se hote hue apne ghar (city A) wapis aate he raat me.
1. Ghusul ke baad se tamaam namaaze qasr aada kare ghar wapsi tak?
2. Agar haidh ki haalat me ghar se nikle or doosre shaher pohanch kar jo ke 78km se ziadah door he paaki hasil hojae to uske baad se ghar wapsi tak namaaz qasr parhne honge ya poori?
3. Agar city A se nikle or city B me paak hogae to kia city C me qasr namaz aada karne hoge or city B me poori?
4. Sawal no. 1 me agar namaze durust nahi hui or unko dohrana ho to niyyat kaise kiye jaege namaaz ke or kiya koi khas tarteeb bhi hogi namaz ke adaege ke?
A:
1. Jeddah jaane se pehle ki namaaz ka qazaa karle itmaam ke saath.
2. Agar waha se safar kya, matlab masaafat-e-safar ka iraadah tha to us jageh se nikalne par qasar ki namaaz parhegi.
3. Agar city B se city C tak masaafat-e-safar ka faaslah ho to woh qasar parhegi city B se nikalne ke saath.
4. Qadha ki niyyat ke saath.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: