Published 4 years ago
Last updated 4 years ago
Q: Baar baar namaaz ke doran hawa khaarij hoti he. Kiya baar baar namaaz tor kar wuzu karna chahiye?
A: Agar aap mazoor na ho to jitni baar wudhu tootegi utni baar wudhu karna chaahiye. Aur agar aap mazoor he, yani har waqt hawa khaarij ho rahi he aur itni fursat bhi nahi milta ke namaaz ke waqt ke shuroo se akheer tak wudhu aur namaaz parh sake hawa khaarij hone ke baghayr, to har namaaz ke waqt ke shuroo me wudhu karle aur woh wudhu baaqi rahegi poora waqt keliye khwa kitna martabah hawa khaarij hojaye jab tak ke koi doosra naaqidh-e-wudhu na hoti.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: