Published 4 years ago
Last updated 4 years ago
Q: Mujh ko qasam khane ki beemari he. Wo bhi ziyada tar akele me aur cricket match dekhte huwe... matlab meri qasam ke alfaz ziyada tar isse hote he... Allah ki kasam agar aaj Muhammad Aamir ne 5 wickets le lee to Pakistan ye match jeet jaye ga. Kabhi kabhi ye baat puree nahi hoti. Ye bataye aisi qasam par kaffara ho ga ke nahi?
A: Bila zaroorat qasam khaana saheeh nahi he, khusoosan aisi qasam jo kisi fuzool kaam ya khel se muta'alliq he. Lekin is tarah ki qasam par kafaarah nahi he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: