Q: Mai Saudia mai rehta hu aur kaam ke silsilay mai remote sites (city se bahar) pay jata rehta hu. Hamain kafi bar camp mai bhi rehna parta hy. Khabi 14-15 days ke liye. Khabi khabi aik month ke liye bhi. Camp se mery gar sy kaafi door hy. Jab mai camp mai rehta hu to mjy namaz qasr (safr ke namaz) adaa karni ho gi ya poori. Camp mai masjid bhi hy. Wahan jamat bhi hoti hay. Camp mai facilities bhi hain. Matlab building ke room mai attached bath ha, bed hy, kitchen wagaira sab hy.
A: Agar wo jaga aap ke ghar se 78 kilometres ya us se ziyaada door he aur aap 15 din se kam mudat ke liye us jage me therne waale honge, to aap musaafir honge. Musaafir ka hukam ye he ke agar wo akele namaaz parhe ya musaafiro ke saat parhe to har chaar rakat farz waali namaaz ko do rakat parhega. Lekin agar wo kisi aise aadmi ke peeche namaaz parhe jo musaafir nahi he, to wo poori namaaz parhega.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: