Q: Mera sawal sood ke bare main hai ke aik muslim aur nonmuslim main soodi moamlat maslan ghar ya car ke liye kisi bank se qarz lene ke bare main kya hukkam hai. Foreign countries main rehne wale muslim agar ghar ya kisi aur maqsad ke liye foreign Banks se moamlat teh karte hain to kya ye jaiz hai, main ne suna hai ke agar aik muslim aur non muslim aapes main koi Aisa muahida karte hain jis main sood ka amal dakhal ho to agar muslman ka faida hai to phir ye muahida karne ki ijazat hai kya main ne theek suna hai?
A: Huzoor (sallallahu alaihi wa sallam) ne la’nat farmayi sood ke dene wale par aur sood lene wale par, aur phir farmaya ke dono baraabar he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
عن جابر رضي الله عنه قال لعن رسول الله صلى الله عليه وسلم آكل الربا وموكله وكاتبه وشاهديه وقال هم سواء رواه مسلم ( مشكوٰة المصابيح ص244)
Answered by: