Khwaab ki ta'beer

Q: Maine ek khawaab dekha us may mai ek jaga khadi hoon. Aur waha pura kachra Hai us kachre may say mai purane sweaters autha rahe hoon phir uske baad mai achanak ek purane bade bade kaaman Hai aur waha saare log namaaz jaamat se namaaz padrahe hai. Phir mai bhi unhe dekh kar mere baba aur bahen ko dhoond ne ke liye bhaag rahe hoon. Under to waha mai dekhti hoon ke bohat khoobsurath chamak ta hua Kaaba mere samne Hai. Mai us kaabe ko dekh kar khush ho rahe hoon. Aur bohat white chamak te hue libaas mein bohat saare log Hai un logon mein mere baba Hai. Mai unhe dekh rage hoon.

A: Khaab ki tabeer ye he ke agar aap Allah Ta'ala ki raza aur khushnoodi chaahti hei, to aap ku chaahiye ke aap apne zindagi ku huzoor (sallallahu Alaihi Wasallam) ki mubaarak zindagi ke mutaabiq banaaye. Panch waqt ki namaaz ku paabandi se apne saheeh waqt par parhne ki ihtimaam kare. Aank, zabaan, kaan aur dil ki hifaazat kare tamaam ghunaaho se aur purda ka ihtimaam kya kare tamaam na mahram larko se. Agar aap nek raaste ki oopar chale gi aur har waqt ghunnaho se bachegi, to ghar me rehte howe, Kabah shareef ka noor aap ku haasil hojaye ga aur Allah Ta'ala aap se hamesha khush honge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada