Q: Meine khawab mei dekha ke abu, muje aur ami ko kehte hain ke une ne khawab mei dekha ke meri mangani ho gai hai. Phir manzar badalta hai aik bottle hoti hai mei ami se pochti hoon ami yh kia hai kehti yh sharab hai...aik lakri ki bohat bari cheez hoti hai jo ami muje kehte hai k tayaabu k ghar de ao..mei apni glasses utar deti hn aur gali mei wo cheez utha kr ja rai hoti hoon aur to muje yaad ata hai k mein to ami se tayaabu k ghar ka address hi pochna bhul gai phir mei aik do galiyan dekhti hn to chalte chalte aik hospital mei dakhil ho jati hn. Wo kisi naik molvi ka hospital hota hai aur nano aur mama unse bat kar rahi hote hain. Mama muje dekhti hai to kehti hai ke tumri khala ka baby howa hai. Wo muje door se aik jagah dikati hai jahan sab auratein bister per leti hti hain apne babies k saath..muje wo sab blur us waqt nazar ata hai kun keh meine glasses nai pehni hti..mere behan bhai b ajate hain to dekhti hn k khala hmre pas arai hoti hai aur unke hath mei baby hota hai. Wo sab se phle us baby ko meri godh mei deti hain wo bohat pyari si baby girl hoti hai. Mei use pyaar krti hn. Mein apni cousin jo us baby ki behan lagti hai uski godh mei deti hoon wo b use pyaar krti hai. Isi tarah sab use godh mei lete hain. Manzar badlata hai sab kana ka rahe hote hain. Phir manzar badalta hai mein ghar hoti hoon ami muje kehti hai ke is sharab ki bottle ko uper kisi tarah almari mei chupa do(muje ese lagta hai k yeh sharab ki bottle abu ki hai). Wo bottle khali hoti hai aur mere hath per thori thori sharab lagi hoti hai kun keh bottle gandi hoti hai bahir se.
A: Khaab ki tabeer ye he ke agar aap Allah Ta'ala ki raza aur khushnoodi chaahti hei, to aap ku chaahiye ke aap apne zindagi ku huzoor (sallallahu Alaihi Wasallam) ki mubaarak zindagi ke mutaabiq banaaye. Aysi jage ne jaae jaha par mardo owr awrato ka ikhtilaat ho. Panch waqt ki namaaz ku paabandi se apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare. Aank, zabaan, kaan aur dil ki hifaazat kare tamaam ghunaaho se aur purda ka ihtimaam kya kare tamaam na mahram larko owr mardo se. Agar aap nek raaste ki oopar chale gi aur har waqt ghunnaho sebachegi, to Allah Ta'ala hamesha aap se kush honge owr aap ku har khair se maala maal farmaenge.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: