Ghusal

Napaak kapra phenkar ghusal karna

Q: Me is baat se bohot pareshaan rehta hu key meri lungi, shalwaar par paani jaisi najasat lag kar sook jane ke bad os kapre ko phen kar ghusal karne ke waqt kapre me napaaki nazar nahi athi hai, our aisi halat me to poore kapra dhowna behtar hai, (owr poore kapre ko dhone ke liye kapre ko badan se otharna parega tabhi poore kapre ku dhowna mumkin hoga.) Lakin mey jaha rehta hu waha par ghusal khaana nahi he jiski wajah se me poore kapre ko dho nahi pata hu. Me gusal karne ke bad kapre ko dho kar pak karta hu. Owr islye muje bohot shak hota he ke mera badan paak huwa ke nahi. Ab apse mera sawal yah hai key is tariqe ke napaak kapra phenkar gusal karne se mera badan paak hoga kya?

Kapra phen kar ghusal karna

Q: Me ye janna chahta hu ke agar kisi ke jism ke nichewale hisse me mani, mazi, peshaab waghairah lag gaye. Badme onhone jism ke nichewale hisse par paak kapraa phenkar agar ghusal karta hai, ghusal karne ke douran onke jism ke nichewale hisse par paani daal kar bahane se onke nichewale hisse par phene huwe kapra napaak hoga kya?

Ghusal karne ka Sunnat tareeqa

Q: Mera sawaal ye he ke ghusal kab faraz hota he or ghusal karny ka sunnat tariqa kya he? Agar shehwat ki waja se jo paani jaisa liquid ata he jisse me samajhtaa hu manni nahi kehte us se bhi faraz hota ha ya nahi owr pehle jaisa sawaal ke agar aurat ka paani aisy baahar aye to usse ghusal karna chahiye ke nahi. Meri biwi kabhi kabhi ye sawaal poochti he is liye ke jab hum sirf piyaar ki baate karte he to hum downo mahsoos karte he ke thowra paani nikla. Kya hamain ghusal karna chahiye?