Ghusal

Ihtilaam

Q:

1. Agar mujhe khawaab yaad he aur mahsoos bhi huwa ho ye ihtilaam hoga lekin agar mujhe koi khwaab yaad na ho aur na hi kuch bhi mahsoos huwa ho lekin uthne par gheelapan ho jo ke aam towr par awrat ki sharamgaah se discharge hota he to kya ghusal waajib hoga?

2) Mujhe ziyaadatar gheelapan mahsoos hota hai toh mujhe ye kaise pataa chalega ke mani toh nahi?

3) Kya awrat ki sharamgaah se discharge aur mani ke rang mein farq hota hai?

4) So kar uthne par awrat ki sharamgaah se discharge dehkne par ghusl farz hai? Agar farz hai toh kya mahine ke ziyaadatar dino mein ghusl karna hoga?

Napaak kapray ko paak krtay waqt kya insan khud bhi napaak hojata he?

Q:

1. Mera sawaal hay ke paaki ki halat may kisi napak kapray ko paak kartay waqt insan kia khud bhi napaak hojata he? Yaad rahay us sorat par baat kar raha ho jab jinsi hisse say nikalne wala mani kapray par lagi hoi ho or aysay kapray ku dhona ho to?

2. Sotay waqt baz dafa koi ganda khwaab ajata hay jis ki waja say mani khaarij hojati hay. Aysa kia karo jis say yeh cheez na ho or sotay waqt napaaki ka shikaar na ho.

Neend se uthne ke ba'd rutoobat dekhna

Q:

1) Maine aapse sawaal kia tha ke jab soti hun tab mujhe neend mein uljan hoti he ke mujhe sirf khiyaal aaten he ya ye ihtilaam he. Aap ne jawaab mein ghusl karne ke liye kahaa tha toh mujhe ye poochna tha ke aisa mere sath taqreeban har roz hota he to kya roz ghusal karna hoga? Mujhe sone mein darr lagta hai ke ihtilaam na ho jaaye aur ghusl karna pare. Me is wajah se roz ghusal karti hun. Shaayad ye waswase ho sakte he kyunke agar koi chota sa bhi khayaal aajaye toh aisa lagta he ke khahin ihtilaam toh nahi ho gaya aur mai ghusl karleti hun. Baraaye meherbaani bataain ke me kya karu? Mujhe neend mein khiyaal aur khwaab ke beech farq hi pata nahi chalta. Pehle aisa nahi tha ye pareshaani mujhe takreeban kuch mahino se ho rahi he.

2) Doosra sawaal maine ye kia tha ke agar khwaab me kisi ghair maharm ko dehken aur tari mahsoos ho, to aapne jawaab me ghusal ke liye kahaa tha mujhe ye poochna he ke agar khwaab me koi shahwaani kaam ho hi na kya tab bhi ghusal karna hoga? Kyunke mujhe aam towr par apne paros ke lowg ya rishtidaar khwaab mein dikh jaaten he.

3) Khawaab me apne saath kisi kareebi rishtedaar ko aasmaan mein udte hue dekhna kaisa hai?