Q: Humara iman hai k har acha or bura kaam Allah ki taraf se hota hai. To kiya mufti saheb humari koishih se humari taqdeer badal sakti hai? Jaise ke meri shadi jis bande se hone wali ho or mujhe shaadi se pehle dekhna chahta ho. Mai mulaqat lr,lon or usko,mai,pasand na ajaon lakin us shaks k sath meri taqdeer jhori howi hai toh kiya mujhe na pasand karne k bawajod meri shadi us se hogi ya phir, meri mulaqat krne se us bande ki ya meri taqdeer badal sakti hai. Plzzzz mujhe is bat ki samj nhi ati... Agr koi humari taqdeer mai lekha gaya hai toh kiya us se shadi hogi ya mahaz ek step utane se taqdeer badal jaye gi.
A: Taqdeer se muraad ye nahei ke Allah Ta'ala ne hume saare kaamo ke oopar majboor kya. Balke Allah Ta'ala ne har insaan ku ikhtiyaar diya unke zindagi mei. Agar ache aamaal kare to Allah Ta'ala unku jannat naseeb farmaaienge aur agar bure kaam kare to Allah Ta'ala us ku sazaa denge. Allah Ta'ala ne aap ku ikhtiyaar diya neik aadmi se nikah karne kei lie ya bure aadmi ke saath. Agar aap ne galati ki aur galat aadmi ke saath nikah kiya, to Is ke oopar ye nahei kaahaa jaayegha ke Allah Ta'ala ne humei ghalat rishte me laga diya.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: