Mahr owr waraasat ka masla

Q: Mera sawaal ye he ke meri ammi ki mehar me Dada Saheb ne ayk makan likha tha. Ab Dada sahab or dadi rahe nahi or na hi unhone apni jaydad ka batwara unke beto me kiya. Ab halat badal gye he or papa ke do chhote bhai he Jo property ka batwara chahate he lekin masala ye he ki kya meri ammi ki mehar ka makan to bi wo log chahte he ki tino me bata jaye jabki wo meri ammi ki mehar me likha ja chuka he to us par hak ammi ka hi hoga ya nahi? Kya aurat ki mehar par uska hak uske husband ki death ke bad hi hota he. Mere ammi or papa Allah unka saya ham hmesha par babaye rakhe. Please ap mere sawal ka jawab bata de bahut meharbani hogi.

A: Mahr aapki waalid ki zimmedaari he ne ke dada ki. Dada ne agar apni hayaat me waalid ki taraf se de diya to ye saheeh huwa aur agar usne wasiyyat ke marne ke ba`d aapki ammi ko diya jaaye to uske jaaidaad aur meeraath me se mahadh eik tihaai ke ba qadar ammi ko diya jayega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)