Published 9 years ago
Last updated 5 years ago
Q: Kya ayk sihhat mand musalmaan bethke namaaz par sakta he? Me ne both sare sihhat mand musalmaano ko bate howe namaaz parhte huwe dekha.
A: Fardh namaaz, witr namaaz owr fajr ki do sunnat khare hokar parhna fardh he us aadmi ke liye jo khare hone par qudrat rakhta ho owr saahib-e-uzar ne ho. Agar wo beth kar parhe, to namaaz nahi hogi. Baaqi sunnato owr nawaafil me khare hokar parhna owr beth kar parhna dono jaaiz he lekin bhetne ki surat me aadha sawaab milega.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: