Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne ek khwab dekha 12 rajab ki raat ko. Mein ek sawari me betha hua kahin jaa raha hun. Itne me baarish ka mausam ho gaya. Mein sawari wale se kehne laga ki gadi rok lo baarish bohot hone wali hai. Lekin sawari jaari thi. Meine aasman ki taraf dekha to bohot zyada baadal the. Safaid Ghata chhane lagi aur aasman se paani ek aquarium ki tarah ulta nazar aane laga. Poore aasman par pani ke saath badi badi machhliyan aur haathi zameen ki taraf aa gaye. Mein darne laga ki yeh hum par gir kar hame maar denge aur mene apne barabar me bahut badi aur rangeen machli tertey huey dekhi. Usne mujhe kuchh nahi kiya. thodi der baad ek alag khwab me maine khudko aur apne rishtidaro ko meine aasman ki taraf udhte hue paaya. Kisi platform par they hum log aur yeh mehsoos kar rahe the ki hamari mot ane wali hai aur ham aasman ki taraf jaa rahe hain. uske baad meine neeche jhanka to bahut gehrai thi. Phir mene soncha ab to upar jaana hi hai lihaza meine upar dekha aur aasman me upar chala gaya. Neeche nahin aaya. Please in dono khwabon ki tabeer bata dijiye.

A:

1. Allah Ta'ala ki baarish ki rahmat ka koi had nahi he. Lekin agar aadmi rahmat-e-ilaahi ka mustahiq banna chahe, to us se chahie ke Deen ke saheeh raaste ke upar chale.

2. Paanch waqt ki namaaz apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kya kare owr purda ka ihtimaam kya kare tamaam na mahram awrato owr larkiyo ke saat owr tamaam mushtabah cheezo se parhez kare (masalan cellphone, internet, TV, buri suhbat, novels, waghairah) owr neak lowgo ki suhbat me hamesha rahe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada