Published 9 years ago
Last updated 9 years ago
Q: Mujhy aik banda gao se pese bheejta hy k mai us k karobar k leye kapry khareedoon mai us k leye khareed k bheejta rehta hoon us ne mujhy kaha hua hai k khareedari k dooran tum jo bhi khana peena chaho kha pee sakty ho... mera sawaal yeh hai k agar koi kapra mujhy market me 1600 ka milta hai jo k aam o khaaas ko bhi 1600 ka hi milta hai agar mai wo kapra apny contacts pe 1400 ka kareed loon tu kia mery leye yeh 200 rupy apny leye rakhna jaiz hy ya nahi?
A: Agar us ne aap ku kapre khareedne ke lia wakeel banaya, to kapre khareedne ke ba'd jo paise bach jae, us ku waapas karde. Aap ke lai us shaks ke bache huwe paise rakhna jaaiz nahi he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: