Q: Mera abortion hoa tha 22 june 2015 ko (1.5 mahina ka tha, koi uzu nhi bana tha) or meri talaaq hoi 12 august 2015 ko. Mujhy 24 august 2015 tak halki bleeding rahi matlb kabhi 3,4 qatry khoon agaya phr 2,3 din tak nahi aya is tarah chalta gaya, Magar 24 August ko mjhy mahwari/haiz ki tarah khoon aya jo ke mustaqil 5 din tak raha (mjhy haiz isi tarah ata tha abortion se pehly 3 se 5 din tak ka) me ne doctor se jab poucha k ye haiz hai ya wese hi bleeding hai to doctor ne kaha ke abortion ko aik mahina ho chuka hai is liye ye haiz hai mgr choonky ye mri iddat hai to me ap se bhi pouchna chahti hun k kya isy haiz shumaar kiya jae ga k nhi? agr isy haiz shumaar kiya jae ga to is ka matlb mre phr ab 2 haiz rehty hn iddat k?
A: Ye talaaq ke ba`d khoon ki qatre nazar aaye, agar woh haidh me shumaar kya jaasakte ho to haidh shumaar kya jaayega. Haidh me shumaar hone ka matlab ye he ke is se pehle aurat taahirah thee.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: