Ghar me ayk dowsre ki madad karna owr neak kaamo ki taraf targheeb dena

Q: Me ne raat ku khawab me dekha ke sehri ka time ha or sab ghr waly soye hoty hen. Me apni ami ko uthata hon ke wo sehri ready karen. Ammi kehti hen ke acha uthti hon, lekin wo soi rehti hen,me tab tak fajar parh leta hon, fajar parh ke me phr ami ko uthata hon to dekhta hon ke time khatam ho jata ha. Me ammi se kehta hon k dekhen ab tine khatm ho gya ha, ghr me kisi ne b roza ni rkha, phr me sochta hon k mje kisi ne btaya tha k agr rat ko roza ki niyyat kr k soye or subh ankh na khulay to jb ankh roza ki niyyat kar le. Me forn khali pait roza ki niyyat kar li, itny me subh ki roshni bhi asman pe zahir hona shuru ho jati ha. Phir me dekhta hon ke hnary ghr bairi ka drakht lga hota ha or us pe bry bry bair latak rhy hoty hen, mere hath me bair hota ha jo me khata hon, phr mje khyal ata ha k ohhh mera to roza ha, me forn phenk deta hon or kuli krta hon.

A: Ghar me ayk dowsre ki madad kare owr neak kaamo ki taraf targheeb de. Rowzaana ghar me fazaail-e-aamaal owr fazaail-e-sadaqaat ki ta'leem kare ghar waalo ke saat owr kuch waqt nikaalo subah owr shaam Qur'aan Shareef parhne ke lia owr durood shareef parhne ke lia. Allah Ta'ala ghar me barkat naseeb farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada