Khwaab ki ta'beer

Q: Main asal zindangi me bhi 13th Ramadan ko paida hui aur muje dream bhi 12 ramzan ki rat dikha yani dusre din 13wa ramzan tha. Khuwab me mene dekha main apni nani se 13wa ramzan ke din hi puch rahi thi ki me paida hui tab kya hua tha to unhone jo muje btaua wo muje dikh rha tha. Unhone btaya ke me jab paida hui usi din 13 ramzan tha aur usi hospital me humari city ke Qazi sahab bhi the aur unka us room me kurta reh gya tha jisme meri mom admit thi aur me paida ho chuki thi lekin qazi sahab ko andar nurse ne jane se mana kardia aur qazi sahab ne zid ki ke me bs kurta leke ata hun zaruri hai aur nurse ne unko ijazat de di...fr mene dekha qazi sahab mere paida hone pe mere kan me surah yasin b parh reh the jb wo andar guye tab...uske bad jb nani ne ye bat btayi aur mene dekhi to mene dekha ki humare qazi sahab ka inteqal hogya usi din 13 ramzan par jis din nani muje mere bare me bta rahin thin...aur fir mene unke liye khuwab me surah yasin parhna shuru kardia Q ki unhone mere liye surah yasin parhi thi isliye aur jab me surah yasin parh rahi thi tb mene manzar dekha ke qazi sahab white Kafan me hain aur unke pas 2 green kafan me chote n bade body ke 2 shaqs b the jo unki k shareer k pas rakhe huye the aur fr mene dekha me surah parh rhi itne me mom ne muje bula liya aur mene surah parhna band kardia aur fr mann me kehne lagi ki ramzan me qazi sahab ka inteqal hua hai to wo wese bhi munkir nakir farishto se bach jayenge to rehne diya aur mera khuwab tut gya. Me bta dun ki qazi sahab humare abi b zinda hain aur muje surah yasin yad nahin hai fr b dream me clear voice me surah yasin parhi mene...aur bs me roz fajr namaz k bad surah yasin tamam muslim bhai bhen burhe buzurg bache jo is dunia se ja chuke hain aur ambiya ekram auliya ekram sahaba ekram etc sbhi ko bakshwati hun parhne k bad . To ap plz is khuwab ki tabeer kijiye. Aur jald clearly iski answr btayein

A: Aap rowzana Surah Yaseen Shareef parhe fajar owr maghrib ke ba'd owr agar zabaani yaad karsakti, to zabaani yaad kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada