Wudhu aur ghusal

Q: Agar aap ne sahi se kulli ki ho magar aap ko ghusal ke bad pata chala ke daant me kuch reh gaya he to kiya ghusal ho jayega? Agar wuzu ghusal me hatho me paani le kar baazoo pe bahaaya jaye aur poore baazu par saath hi hath pher kar pani mal liya jay aiysa teen baar karne se wuzu ho jaye ga ya isi tarah moon pe bhi? Agar namaz me sans ki awaz (haa) or dard se (see) ki awaz nikle to namaz ho jaye gi? Agar haidh khatam hone ka ayk din bad ghusal ke waqt haidh ka asar saaf karne pe zara sa khoon zahir ho to us khaali din ki namaaz qaza karni ho gi?

A: Agar bohot hee chota ho chane ke daane se kam to ghusl hogaya.

Hojayega.

Namaaz toot jayegi agar zabaan se ye awaaz nikaali ho.

Agar aap ka matlab ye he ke khoon phir se nikla ho to agar haidh ki muddat ke andar andar nikla ho to ye haidh shumaar hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)