Sharamgaah se safed paani nikalna

Q: Hamara umre pe jaane ka iraada ha InshaAllah isi hafte. Ayk masla he ke haidh ke baad safaid paani bohot ziyada aata he owr ye haalat saat se das din rehte he uske baad theek hojata ha.

1. Aap se poochna ye he ke poore umre ke dowraan wudhu ko kaise bar qaraar rakha jaye jab ke paani musalsal jaari ho.

2. Ager aam haalat me jab ke paani waqfe waqfe se ata ho us haalat me bhi umre ke dowraan wudhu ko kaise bar qaraar rakha jaye? Agar is haalet me kabhi wudhu mahsoos ho ke toot gaya he to kiya istinjaa kar ke wudhu karna zaroori he? Aisi haalat me bohot ziyaada waswasay aatay he dil me musalsal yahi khiyaal rehta he ke wudhu toot gaya he.

A: Agar safed paani musalsal behta rehta he ke waqt ke shuroo se waqt ke akheer tak wudhu aur namaaz adaa nahi ki jaasakti he uske behne ke baghayr to aap ma`zoor hogi. Ma`zoor ka hukm ye he ke waqt ke shuroo me eik baar wudhu karle aur phir jab tak us namaaz ka waqt baaqi rahe aur koi doosra naaqidhe wudhu ne hoga to us eik wudhu barqaraar rahega agar che safed paani behte rahe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)