Khwaab ki ta'beer

Q: Mei ne khwaab dekha k mei qadre urrta hua jaa rha tha, aur mujhe aisa mehsoos hua k mei Roza Rasool (sallallahu alaihi wasallam) per jaa rha hun. (Aik dafa aise he mere dil mei khwahish aayi khoobsurat awaz se tilawat krne ki) mei ne khwab mei dekha k mei bohat he khubsurat awaz mei Surah Ikhlas ki tilawat kr rha hun aur mere dil mei khyal aaya k meri dua qabool hogyi hai.

Baraye mehrabani mujhe mere khwab ka tabeer bata dijye. Is khwab ko dekhne k baad mere dil mei aik yaqeen sa hai k meri dua Allah ne qabool krli hai, jo mei Allah se mangta hun wo mujhe dega insha Allah

A: Gunaaho se parhez kare owr har kaam ku Sunnat ke mutaabiq karne ki kowshish kare. Allah Ta'ala aap ku unki mahabbat owr Rasulullah (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki mahabbat naseeb farmaenge owr neak kaam karne ki tawfeeq naseeb farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels