Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe apne khwab ki tabeer jan'ni hai. leken us se pehle mei aapko bataoon uske baare mei jiske baare mei mein ne khwab dekha.

Alhamdulillah mei poori koshesh krta hun k apne har kaam mei Islam k usoolo ko madd e nazar rakhoon. Mere office mei aik larrki kaam karti thi jo k ab jaa chuki hai, mujhe wo achi lagi to mei ne unse nikah ka faisala kiya, hamari caste different hai jiski waja se hamari families hamare khelaf hogyi, mei ne kayi baar unke parents se baat ki leken wo nhe maane. Hum dono aik doosre se milte b nhe, na he phone pe baat cheet krte hain bas zaroorat ki koi baat ho to msg pe hojati hai. hm tafreehi muhabbat se bach k aik pak rishta banana chahte hain.

Mei ne khwab dekha k hm dono aik train k ooper chatt per karre hain aur train chal rhi hai. mei ne dekha k saamne kuch hai jis se mujhe laga k ye train to takra jayegi. mei ne us ka haath thaama aur kaha k hm train se khood jayengay. jaise he train takrane lagi hm khood gye. mei ne pas e parda logo ki awazei suni k wo to margye hongay leken hm bilkul sahi salamat thay, wo log nazar nhe aarhe they, shayed wo train ki doosri taraf they leken unki awazei aarhi thi.

Baraye mehrabani mere khwab ki taabeer bata dijye aur koi mashwarah dijye.

A: Agar larki ki maa baap khush nahi he, to us ke peeche mat paro. Khwaab bhi issy tarah ishaarah kar raha he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels