Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe meri walda jo ek saal pehle faut hui hain khwab me dikh chuki bat nhi krti bas isharo me ek bar mujhe zevar dI kha rhi thin phir dobara me unka bed dikha jo talab ya pani ke pas tha us bed pr leti hui wo kapre dikha rhi thi pani me phir ek bar dikhin to baten kr rhi thin ki unki tasweer kyun daal dee kahan ye nhi bola bas itna bola ki unki tasweeh dekhkar kisi rishtedar ki beti ki tabiyat kharab ho gyi aur jab meri walda beemar thin hospital me thin uswaqt mujhe dikha tha ki main aur meri walda jinko bohat arman tha ki hajj ya umrah kren lekin ja nhi payin mujhe ye dikha ki meri walda aur main makkah ke liye niklen hain lekin madinah shareef pohach gye baqayda madeenah shareef dekha tha maine aur walda ko bhi sunaya tha ye khwab jab wo hospital me thin

A: Aap apni marhoom waalida ke lie duaa-e-maghfirat kare aur esaale thawaab kare.

Jaandaar cheezo ki tasweer kheenchna haraam he. In ghunaaho se door rahe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels