Khwaab

Q: Mainay apsay guzashta roz pehlay khuwab ka zikar Kia Tha k ik larki jisay shadi karna chahta Tha or usay khuwab mein bat hui. Aj phir wo khuwab mein ai humlog ghoom phir rahay h achay mahool mein bat horahi h. Halanky mein tauba karchuka ho. Mein pareshan ho taqreeban Roz aisay khuwab arahy hai. Ik or khuwab dekha hai jismai ik nihayat lamba chaura shaks safeed chamktay huay libas ma ata h or ma usay Salam karta ho galay milta ho or wo Mera hath pakarta h or hum dono ik Mahal k andar dakhil hotay h jiskay Bahar bht bara sarsabz baad h kafi bara lawn hai or bht sarsabz usky andar bht bara Mahal h or Mahal k andar Sy log mjhy dekhrahy h. Or jaisay hi wo shaks Mera hath pakar k chalnay lagta h to mein ik bharipan mahsoos karta ho jaisy koi taqat andar ghus gai hai.

A: Kabi zehni khiyaalaat ki wajah se is qisam ke khwaab nazar aate. Unki taraf diyaan ne de.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels